Kuchh to log kahenge, logon kaa kaam hai kahnaa

कुछ तो लोग कहेंगे, लोगों का काम है कहना
Work
Year
Language

(कुछ तो लोग कहेंगे, लोगों का काम है कहना
छोड़ो बेकार की बातों में कहीं बीत ना जाए रैना ) - 2
कुछ तो लोग कहेंगे, लोगों का काम है कहना

कुछ रीत जगत की ऐसी है, हर एक सुबह की शाम हुई - 2
तू कौन है, तेरा नाम है क्‌या, सीता भी यहाँ बदनाम हुई
फिर क्‌यूँ संसार की बातों से, भीग गये तेरे नयना
कुछ तो लोग कहेंगे, लोगों का काम है कहना
छोड़ो बेकार की बातों में कहीं बीत ना जाए रैना
कुछ तो लोग कहेंगे …

हमको जो ताने देते हैं, हम खोए हैं इन रंगरलियों में - 2
हमने उनको भी छुप छुपके, आते देखा इन गलियों में
ये सच है झूठी बात नहीं, तुम बोलो ये सच है ना
कुछ तो लोग कहेंगे, लोगों का काम है कहना
छोड़ो बेकार की बातों में कहीं बीत ना जाए रैना
कुछ तो लोग कहेंगे …

(kuchh to log kaheṅge, logoṅ kā kām hai kahnā
chhoṛo bekār kī bātoṅ meṅ kahīṅ bīt nā jāe rainā ) - 2
kuchh to log kaheṅge, logoṅ kā kām hai kahnā

kuchh rīt jagat kī aisī hai, har ek subah kī śhām huī - 2
tū kaun hai, terā nām hai k‌yā, sītā bhī yahāṇ badnām huī
phir k‌yūṇ saṅsār kī bātoṅ se, bhīg gaye tere naynā
kuchh to log kaheṅge, logoṅ kā kām hai kahnā
chhoṛo bekār kī bātoṅ meṅ kahīṅ bīt nā jāe rainā
kuchh to log kaheṅge …

hamko jo tāne dete haiṅ, ham khoe haiṅ in raṅgarliyoṅ meṅ - 2
hamne unko bhī chhup chhupke, āte dekhā in galiyoṅ meṅ
ye sach hai jhūṭhī bāt nahīṅ, tum bolo ye sach hai nā
kuchh to log kaheṅge, logoṅ kā kām hai kahnā
chhoṛo bekār kī bātoṅ meṅ kahīṅ bīt nā jāe rainā
kuchh to log kaheṅge …