Kuchh dil ne kahaa, kuchh bhee naheen

कुछ दिल ने कहा, कुछ भी नहीं
Work
Year
Language

कुछ दिल ने कहा, कुछ भी नहीं - 2
ऐसी भी बातें होती हैं - 2
कुछ दिल ने कहा, कुछ भी नहीं

लेता है दिल अंगड़ाइयां, इस दिल को समझाये कोई
अरमान ना आँखें खोल दें, रुसवा ना हो जाये कोई
पलकों की ठंडी सेज पर, सपनों की परियां सोती हैं
ऐसी भी बातें होती हैं - 2
कुछ दिल ने कहा, कुछ भी नहीं

दिल की तस्सली के लिये, झूठी चमक झूठ निखार
जीवन तो सूना ही रहा, सब समझे आयी बहार
कलियों से कोई पूछता, हंसती हैं या रोती हैं
ऐसी भी बातें होती हैं - 2
कुछ दिल ने कहा, कुछ भी नहीं

kuchh dil ne kahā, kuchh bhī nahīṅ - 2
aisī bhī bāteṅ hotī haiṅ - 2
kuchh dil ne kahā, kuchh bhī nahīṅ

letā hai dil aṅgaṛāiyāṅ, is dil ko samjhāye koī
armān nā āṇkheṅ khol deṅ, rusvā nā ho jāye koī
palkoṅ kī ṭhaṅḍī sej par, sapnoṅ kī pariyāṅ sotī haiṅ
aisī bhī bāteṅ hotī haiṅ - 2
kuchh dil ne kahā, kuchh bhī nahīṅ

dil kī tasslī ke liye, jhūṭhī chamak jhūṭh nikhār
jīvan to sūnā hī rahā, sab samjhe āyī bahār
kaliyoṅ se koī pūchhtā, haṅstī haiṅ yā rotī haiṅ
aisī bhī bāteṅ hotī haiṅ - 2
kuchh dil ne kahā, kuchh bhī nahīṅ