Kuch Na Kaho, Kuch Bhi Na Kaho

कुछ ना कहो, कुछ भी ना कहो
Year
Language

कुछ ना कहो, कुछ भी ना कहो
क्या कहना है, क्या सुनना है
मुझको पता है, तुमको पता है
समय का ये पल थम सा गया है
और इस पल में कोई नहीं है
बस एक मैं हूँ, बस एक तुम हो

कितने गहरे हलके, शाम के रंग हैं छलके
परबत से यूँ उतरे बादल, जैसे आँचल ढलके
और इस पल में.. .. ..

सुलगी सुलगी साँसे, बहकी बहकी धड़कन
महके महके शाम के साए, पिघले पिघले तन मन
और इस पल में.. .. ..

kuchh nā kaho, kuchh bhī nā kaho
kyā kahnā hai, kyā sunnā hai
mujhko patā hai, tumko patā hai
samay kā ye pal tham sā gayā hai
aur is pal meṅ koī nahīṅ hai
bas ek maiṅ hūṇ, bas ek tum ho

kitne gahre halke, śhām ke raṅg haiṅ chhalke
parbat se yūṇ utre bādal, jaise āṇchal ḍhalke
aur is pal meṅ.. .. ..

sulgī sulgī sāṇse, bahkī bahkī dhaṛkan
mahke mahke śhām ke sāe, pighle pighle tan man
aur is pal meṅ.. .. ..