pāgal huā huā huā dīvānā huā huā huā
o jāne mujhe ye kyā huā
hāṅ laṛkā tū ek paṭākhā laṛkī maiṅ ek dhamākā
donoṅ ke dil haiṅ javāṅ
tūne ye dil meṅ jhāṅkā juṛ gayā donoṅ kā ṭāṅkā
jāegā ab tū kahāṅ
pāgal huā …
jabse merī āṇkh laṛī hai tabse merī nīṅd uṛī hai
pyār kī mastī tujhe chaṛhī hai phir bhī mujhse dūr khaṛī hai
ik nambar kā tū jhūṭhā hai dil merā tūne lūṭā hai
hāy taubā ye nakhre tere hośh uṛā degī tū mere
pāgal huā …
tūne kiyā hai kaisā jādū laṛkī ho gaī hai bekābū
kar liyā maine tujhko rāzī jīt gayā maiṅ pyār kī bāzī
yār mere tū kar le vādā pyār karegā hamse jyādā
dekhke tujhko dil merā dhaṛke pyār karūṅgā sabse baṛhke
pāgal huā …
tū chumbak hai mujhko khīṅche tū āge maiṅ pīchhe pīchhe
muśhkil kar diyā tūne jīnā bhūl gayā maiṅ khānā pīnā
tūne diyā hai aisā jhaṭkā dil hoṅṭhoṅ pe āke aṭkā
vāh re tere pyār kā laṭkā ghūm rahā hūṇ bhaṭkā bhaṭkā
pāgal huā …