koī pyār ke paṅkh pasāre
āyā hai pās tehāre
sudh-sudh apnī bisrāe
paglā man tohe pukāre
zarā man kī khevaṛiyāṇ khol
saiṅyā tore dvāre khaṛe
saiṅyā tore, sajnā tore dvāre khaṛe
o, saiṅyā tore, sajnā tore dvāre khaṛe
birhā kī rainā -2
terī galiyoṅ ke phere -2
jogī kā rūp liyā prītam ne tere -2
gorī sun le balam ke bol
saiṅyā tore dvāre khaṛe
o, saiṅyā tore, sajnā tore dvāre khaṛe
milnā hai āj tohe apne piā se -2
jāne na bhed koī tere jiā ke -2
man-man meṅ sajniyā ḍol
saiṅyā tore dvāre khaṛe
saiṅyā tore dvāre khaṛe
o, saiṅyā tore, sajnā tore dvāre khaṛe
bigaṛe na bāt kahīṅ dhīraj na khonā -2
jāge na bhāg ab kāhe kā ronā -2
terā jīvan baṛā anmol
saiṅyā tore dvāre khaṛe
saiṅyā tore dvāre khaṛe
o, saiṅyā tore, sajnā tore dvāre khaṛe
o man kī khevaṛiyāṇ khol
saiṅyā tore dvāre khaṛe