Koee soorat naheen aankhon men ... is mohabbat ke sivaa

कोई सूरत नहीं आँखों में ... इस मोहब्बत के सिवा
Work
Year
Language

कोई सूरत नहीं आँखों में तेरी सूरत के सिवा
कोई हसरत नहीं इस दिल में तेरी हसरत के सिवा
कह रहा आज दिल अब तो जीना है मुश्किल इस मोहब्बत के सिवा

जाने कब मैं बन बैठा तेरा दीवाना
शायद अपना दिल होगा कुछ आशिक़ाना
इस जहाँ से जुदा लग रहा तू मुझे
बस यही सोचकर दिल दिया है तुझे
मिल गई जबसे तू कुछ भी मांगा ना रब से तेरी उल्फ़त के सिवा
कोई सूरत नहीं …

अई अई या या अई अई या
रख देती हूँ अपना दिल राहों में तेरी
जीना है अब मुझको तो बाहों में तेरी
ज़िंदगी प्यार में मुस्कुराने लगी
जबसे तू मेरे दिल में समाने लगी
मैं तुझे चाहती हूँ कुछ भी चाहा ना मैने तेरी चाहत के सिवा
कोई सूरत नहीं …

koī sūrat nahīṅ āṇkhoṅ meṅ terī sūrat ke sivā
koī hasrat nahīṅ is dil meṅ terī hasrat ke sivā
kah rahā āj dil ab to jīnā hai muśhkil is mohabbat ke sivā

jāne kab maiṅ ban baiṭhā terā dīvānā
śhāyad apnā dil hogā kuchh āśhiqānā
is jahāṇ se judā lag rahā tū mujhe
bas yahī sochkar dil diyā hai tujhe
mil gaī jabse tū kuchh bhī māṅgā nā rab se terī ulfat ke sivā
koī sūrat nahīṅ …

aī aī yā yā aī aī yā
rakh detī hūṇ apnā dil rāhoṅ meṅ terī
jīnā hai ab mujhko to bāhoṅ meṅ terī
ziṅdgī pyār meṅ muskurāne lagī
jabse tū mere dil meṅ samāne lagī
maiṅ tujhe chāhtī hūṇ kuchh bhī chāhā nā maine terī chāhat ke sivā
koī sūrat nahīṅ …