अल्बेले दिन प्यारे, मेरे बिछड़े साथी सारे
हाय्! कहाँ गये, हाय्! कहाँ गये
कोई लौटा दे मेरे, बीते हुए दिन - (2)
बीते हुए दिन वो हाय, प्यारे पल छिन
कोई लौटा दे …
मैं अकेला तो ना था, थे मेरे साथी कई
एक आँधी सी उठी, जो भी था लेके गई
आज मैं ढूँढूं कहाँ, खो गये जाने किधर - 2
बीते हुए दिन वो हाय, प्यारे पल छिन
कोई लौटा दे …
मेरे ख्वाबों के नगर, मेरे सपनों के शहर
पी लिया जिनके लिये, मैंने जीवन का ज़हर
ऐसे भी दिन थे कभी, मेरी दुनिया थी मेरी - 2
बीते हुए दिन वो हाय, प्यारे पल छिन
कोई लौटा दे …
albele din pyāre, mere bichhaṛe sāthī sāre
hāy! kahāṇ gaye, hāy! kahāṇ gaye
koī lauṭā de mere, bīte hue din - (2)
bīte hue din vo hāy, pyāre pal chhin
koī lauṭā de …
maiṅ akelā to nā thā, the mere sāthī kaī
ek āṇdhī sī uṭhī, jo bhī thā leke gaī
āj maiṅ ḍhūṇḍhūṅ kahāṇ, kho gaye jāne kidhar - 2
bīte hue din vo hāy, pyāre pal chhin
koī lauṭā de …
mere khvāboṅ ke nagar, mere sapnoṅ ke śhahar
pī liyā jinke liye, maiṅne jīvan kā zahar
aise bhī din the kabhī, merī duniyā thī merī - 2
bīte hue din vo hāy, pyāre pal chhin
koī lauṭā de …