कोई फ़रियाद तेरे दिल में दबी हो जैसे
कोई फ़रियाद तेरे दिल में दबी हो जैसे
तूने आँखों से कोई बात कही हो जैसे
जागते जागते इक उम्र कटी हो जैसे
जान बाकी है मगर साँस रूकी हो जैसे
जानता हूँ आपको सहारे की ज़रूरत नहीं
मैं तो सिर्फ़ साथ देने आया हूँ
हर मुलाक़ात पे महसूस यही होता है
मुझसे कुछ तेरी नज़र पूछ रही हो जैसे
राह चलते हुए अक्सर ये गुमां होता है
वो नज़र छुप के मुझे देख रही हो जैसे
एक लम्हे में सिमट आया है सदियों का सफ़र
ज़िंदगी तेज़ बहुत तेज़ चली हो जैसे
इस तरह पहरों तुझे सोचता रहता हूँ मैं
मेरी हर साँस तेरे नाम लिखी हो जैसे
कोई फ़रियाद तेरे दिल में …
koī fariyād tere dil meṅ dabī ho jaise
tūne āṇkhoṅ se koī bāt kahī ho jaise
jāgte jāgte ik umr kaṭī ho jaise
jān bākī hai magar sāṇs rūkī ho jaise
jāntā hūṇ āpko sahāre kī zarūrat nahīṅ
maiṅ to sirf sāth dene āyā hūṇ
har mulāqāt pe mahsūs yahī hotā hai
mujhse kuchh terī nazar pūchh rahī ho jaise
rāh chalte hue aksar ye gumāṅ hotā hai
vo nazar chhup ke mujhe dekh rahī ho jaise
ek lamhe meṅ simaṭ āyā hai sadiyoṅ kā safar
ziṅdgī tez bahut tez chalī ho jaise
is tarah pahroṅ tujhe sochtā rahtā hūṇ maiṅ
merī har sāṇs tere nām likhī ho jaise
koī fariyād tere dil meṅ …