Kitnee zaalim hai ... jis tarah se ham barbaad huye

कितनी ज़ालिम है ... जिस तरह से हम बरबाद हुये
Work
Year
Language

कितनी ज़ालिम है ये दुनिया फूँक डाला घर मेरा
जल गया सारा चमन हम बेज़बाँ देखा किया

( जिस तरह से हम बरबाद हुये
ऐसा भी कोई बरबाद न हो
ऐसा भी कोई बरबाद न हो ) -2

दिल की बस्ती इस तरह से लुट गई इक भूल से
जिस तरह ख़ुशबू जुदा हो जाये नाज़ुक फूल से
हाय दुनिया क्‌या तुझे यूँही मुझे बहलाना था -2
ख़ाब था जो कुछ के देखा जो सुना अफ़साना था

( जिस तरह से हम बरबाद हुये
ऐसा भी कोई बरबाद न हो
ऐसा भी कोई बरबाद न हो ) -2

kitnī zālim hai ye duniyā phūṇk ḍālā ghar merā
jal gayā sārā chaman ham bezbāṇ dekhā kiyā

( jis tarah se ham barbād huye
aisā bhī koī barbād na ho
aisā bhī koī barbād na ho ) -2

dil kī bastī is tarah se luṭ gaī ik bhūl se
jis tarah khuśhbū judā ho jāye nāzuk phūl se
hāy duniyā k‌yā tujhe yūṇhī mujhe bahlānā thā -2
khāb thā jo kuchh ke dekhā jo sunā afsānā thā

( jis tarah se ham barbād huye
aisā bhī koī barbād na ho
aisā bhī koī barbād na ho ) -2