Kitnee javaan hai raat koee yaad aa gayaa

कितनी जवाँ है रात कोई याद आ गया
Work
Year
Language

कितनी जवाँ है रात कोई याद आ गया
बढ़ने लगी है बात कोई याद आ गया

फिर आ गयी चमन में गुज़री हुई बहार
रहने लगा किसी का फिर दिल को इंतज़ार
अब होगी मुलाक़ात कोई याद आ गया
बढ़ने लगी है बात …

फिर याद आ रहें हैं गुज़रे हुए ज़माने
दिल गुनगुना रहा है भूले हुए तराने
तन्हाई और ये रात कोई याद आ गया
बढ़ने लगी है बात …

आँखों से नींद जाने उड़ कर कहाँ गई है
वो भी वहीं पे होंगे निन्दिया जहाँ गई है
शायद यही है बात कोई याद आ गया
बढ़ने लगी है बात …

kitnī javāṇ hai rāt koī yād ā gayā
baṛhne lagī hai bāt koī yād ā gayā

phir ā gayī chaman meṅ guzrī huī bahār
rahne lagā kisī kā phir dil ko iṅtazār
ab hogī mulāqāt koī yād ā gayā
baṛhne lagī hai bāt …

phir yād ā raheṅ haiṅ guzre hue zamāne
dil gungunā rahā hai bhūle hue tarāne
tanhāī aur ye rāt koī yād ā gayā
baṛhne lagī hai bāt …

āṇkhoṅ se nīṅd jāne uṛ kar kahāṇ gaī hai
vo bhī vahīṅ pe hoṅge nindiyā jahāṇ gaī hai
śhāyad yahī hai bāt koī yād ā gayā
baṛhne lagī hai bāt …