Kitnee baaten yaad aatee hai

कितनी बातें याद आती है
Work
Year
Language

कितनी बातें याद आती है
तस्वीरें सी बन जाती हैं
मैं कैसे इन्हें भूलूँ
दिल को क्या समझाऊँ

कितनी बातें कहने की है
होठों पर जो सहमी सी है
इक रोज़ इन्हें सुन लो
क्यों ऐसे गुम-सूम हो

क्यों पूरी हो ना पाई दास्तान
कैसे आई है ऐसी दूरियाँ

दोनो के दिलों में सवाल है
फिर भी है खामोशी
तो कौन है किसका दोषी
कोई क्या कहे

कैसी उलझनों के यह जाल है
जिन में उलझे है दिल
अब होना है क्या हासिल
कोई क्या कहे

दिल की हैं कैसी मजबूरियाँ
खोये थे कैसे राहों के निशान
कैसे आई हैं ऐसी दूरियाँ

दोनो के दिलों में छुपा है
जो इक अंजाना सा ग़म
क्या हो पायेगा वो कम
कोई क्या कहे

दोनो ने कभी ज़िंदगी के
इक मोड़ पे थी जो पाई
है कैसी वो तनहाई
कोई क्या कहे

कितना वीरान है ये समा
साँसों में जैसे घुलता है धुवाँ
कैसे आई है ऐसी दूरियाँ

कितनी बातें याद आती है
तस्वीरें सी बन जाती हैं
मैं कैसे इन्हें भूलूँ

तुमसे आज यूँ मिलके दिल को
याद आये लम्हें कल के
ये आँसू क्यों है छलके
अब क्या कहें

तुमने हमको देखा जो ऐसे
तो इक उम्मीद है जागी
फिर तुमसे प्यार पाने की
अब क्या कहें

आ गये हम कहाँ से कहाँ
देखे मुडके ये दिल का कारवाँ
कैसे आई है ऐसी दूरियाँ

kitnī bāteṅ yād ātī hai
tasvīreṅ sī ban jātī haiṅ
maiṅ kaise inheṅ bhūlūṇ
dil ko kyā samjhāūṇ

kitnī bāteṅ kahne kī hai
hoṭhoṅ par jo sahmī sī hai
ik roz inheṅ sun lo
kyoṅ aise gum-sūm ho

kyoṅ pūrī ho nā pāī dāstān
kaise āī hai aisī dūriyāṇ

dono ke diloṅ meṅ savāl hai
phir bhī hai khāmośhī
to kaun hai kiskā doṣhī
koī kyā kahe

kaisī ulajhnoṅ ke yah jāl hai
jin meṅ uljhe hai dil
ab honā hai kyā hāsil
koī kyā kahe

dil kī haiṅ kaisī majbūriyāṇ
khoye the kaise rāhoṅ ke niśhān
kaise āī haiṅ aisī dūriyāṇ

dono ke diloṅ meṅ chhupā hai
jo ik aṅjānā sā ġham
kyā ho pāyegā vo kam
koī kyā kahe

dono ne kabhī ziṅdgī ke
ik moṛ pe thī jo pāī
hai kaisī vo tanhāī
koī kyā kahe

kitnā vīrān hai ye samā
sāṇsoṅ meṅ jaise ghultā hai dhuvāṇ
kaise āī hai aisī dūriyāṇ

kitnī bāteṅ yād ātī hai
tasvīreṅ sī ban jātī haiṅ
maiṅ kaise inheṅ bhūlūṇ

tumse āj yūṇ milke dil ko
yād āye lamheṅ kal ke
ye āṇsū kyoṅ hai chhalke
ab kyā kaheṅ

tumne hamko dekhā jo aise
to ik ummīd hai jāgī
phir tumse pyār pāne kī
ab kyā kaheṅ

ā gaye ham kahāṇ se kahāṇ
dekhe muḍke ye dil kā kārvāṇ
kaise āī hai aisī dūriyāṇ