Kitne dinon ke baad hai aaee sajnaa raat milan kee

कितने दिनों के बाद है आई सजना रात मिलन की
Year
Language

कितने दिनों के बाद है आई सजना रात मिलन की
अब हमसे न सही जाये जुदाई आई रात मिलन की
कितने दिनों के बाद …

चंदा प्यासा तारे प्यासे प्यासी रात सुहानी
कहीं अधूरी रह न जाये अपनी प्रेम कहानी
सजी सेज सुहागन बजी शहनाई आई रात मिलन की
कितने दिनों के बाद …

तन्हाई के रुसवाई के हम कितने ग़म झेलें
कहने को तो साथ रहें हम फिर भी रहें अकेले
मेरी हो के भी रही मुझसे पराई आई रात मिलन की
कितने दिनों के बाद …

दो रूहों के मिलन का ये वक़्त गुज़र न जाये
महकी महकी रात मिलन की जाके फिर न आये
मिल जायेंगे हम राम दुहाई आई रात मिलन की
कितने दिनों के बाद …

kitne dinoṅ ke bād hai āī sajnā rāt milan kī
ab hamse na sahī jāye judāī āī rāt milan kī
kitne dinoṅ ke bād …

chaṅdā pyāsā tāre pyāse pyāsī rāt suhānī
kahīṅ adhūrī rah na jāye apnī prem kahānī
sajī sej suhāgan bajī śhahnāī āī rāt milan kī
kitne dinoṅ ke bād …

tanhāī ke rusvāī ke ham kitne ġham jheleṅ
kahne ko to sāth raheṅ ham phir bhī raheṅ akele
merī ho ke bhī rahī mujhse parāī āī rāt milan kī
kitne dinoṅ ke bād …

do rūhoṅ ke milan kā ye vaqt guzar na jāye
mahkī mahkī rāt milan kī jāke phir na āye
mil jāyeṅge ham rām duhāī āī rāt milan kī
kitne dinoṅ ke bād …