कितना प्यारा है ये चेहरा जिस पे
कितना प्यारा है ये चेहरा जिस पे हम मरते हैं
ये न जाने इसे कितना प्यार करते हैं
कितना प्यारा है …
दर्द-ओ-गम मिल के सहेंगे ये इरादा कर लें
हम ना टूटेंगे कभी आओ ये वादा कर लें
हम बिखर जाने के खयालों से भी डरते हैं
कितना प्यारा है …
ये सफ़र प्यार का होता है बड़ा ही मुश्किल
गिर के जो सम्भले उसी को मिले इस में मंज़िल
राह कैसी भी हो हम शौक़ से गुज़रते हैं
कितना प्यारा है …
kitnā pyārā hai ye chehrā jis pe ham marte haiṅ
ye na jāne ise kitnā pyār karte haiṅ
kitnā pyārā hai …
dard-o-gam mil ke saheṅge ye irādā kar leṅ
ham nā ṭūṭeṅge kabhī āo ye vādā kar leṅ
ham bikhar jāne ke khayāloṅ se bhī ḍarte haiṅ
kitnā pyārā hai …
ye safar pyār kā hotā hai baṛā hī muśhkil
gir ke jo sambhle usī ko mile is meṅ maṅzil
rāh kaisī bhī ho ham śhauq se guzarte haiṅ
kitnā pyārā hai …