Kisee na kisee se kabhee na kabhee ... dil lagaanaa paregaa

किसी न किसी से कभी न कभी ... दिल लगाना पड़ेगा
Year
Language

( किसी न किसी से कभी न कभी
कहीं न कहीं दिल लगाना पड़ेगा ) -2

एक से एक हसीं चेहरे हैं
किस-किस को मैं देखूँ
किसको इनमें अपना समझूँ
और संग मैं अपने ले लूँ
कोई रंगीली छैल-छबीली -2
आज मेरी ज़िन्दगी में आ के रहेगी
किसी न किसी से …

ढूँढ रहा हूँ मैं वो दुनिया
प्यार जिसे कहते हैं
कौन वो क़िस्मत वाले हैं
जो लोग वहाँ रहते हैं
मुझको मेरे दिल ले के वहीं चल -2
आए जहाँ हाथ कोई रेशमी आँचल
किसी न किसी से …

ऐसी नाज़ुक हो वो जिसका
शबनम मुँह धोती हो
चाँद भी सदके होता हो
जब रात को वो सोती हो
आँख शराबी गाल गुलाबी -2
प्यार से सँवार दे जो ज़िन्दगी मेरी
किसी न किसी से …

( kisī na kisī se kabhī na kabhī
kahīṅ na kahīṅ dil lagānā paṛegā ) -2

ek se ek hasīṅ chehre haiṅ
kis-kis ko maiṅ dekhūṇ
kisko inmeṅ apnā samjhūṇ
aur saṅg maiṅ apne le lūṇ
koī raṅgīlī chhail-chhabīlī -2
āj merī zindgī meṅ ā ke rahegī
kisī na kisī se …

ḍhūṇḍh rahā hūṇ maiṅ vo duniyā
pyār jise kahte haiṅ
kaun vo qismat vāle haiṅ
jo log vahāṇ rahte haiṅ
mujhko mere dil le ke vahīṅ chal -2
āe jahāṇ hāth koī reśhmī āṇchal
kisī na kisī se …

aisī nāzuk ho vo jiskā
śhabnam muṇh dhotī ho
chāṇd bhī sadke hotā ho
jab rāt ko vo sotī ho
āṇkh śharābī gāl gulābī -2
pyār se sṇvār de jo zindgī merī
kisī na kisī se …