Kisee meharbaan kee nazar dhoondhte hain

किसी मेहरबाँ की नज़र ढूँढते हैं
Work
Year
Language

किसी मेहरबाँ की नज़र ढूँढते हैं
जो दे-दे सहारा वो दर ढूँढते हैं
किसी मेहरबाँ की …

तुम्हारी गली में सदा हमने दी है
तुम्हें ज़िन्दगी की दुआ हमने दी है
दुआओं का अपनी असर ढूँढते हैं
किसी मेहरबाँ की …

नसीबों के गुलशन में खिलती हैं ख़ुशियाँ
कहीं ढूँढने से भी मिलती हैं ख़ुशियाँ
मगर हम तो हैं बेख़बर ढूँढते हैं
किसी मेहरबाँ की …

kisī meharbāṇ kī nazar ḍhūṇḍhte haiṅ
jo de-de sahārā vo dar ḍhūṇḍhte haiṅ
kisī meharbāṇ kī …

tumhārī galī meṅ sadā hamne dī hai
tumheṅ zindgī kī duā hamne dī hai
duāoṅ kā apnī asar ḍhūṇḍhte haiṅ
kisī meharbāṇ kī …

nasīboṅ ke gulaśhan meṅ khiltī haiṅ khuśhiyāṇ
kahīṅ ḍhūṇḍhne se bhī miltī haiṅ khuśhiyāṇ
magar ham to haiṅ bekhbar ḍhūṇḍhte haiṅ
kisī meharbāṇ kī …