Kisee din banoongee main raajaa kee raanee ... zaraa phir se kahnaa

किसी दिन बनूंगी मैं राजा की रानी ... ज़रा फिर से कहना
Work
Year
Language

किसी दिन बनूंगी मैं राजा की रानी
ज़रा फिर से कहना
बड़ी दिलरुबा है ये सारी कहानी
ज़रा फिर से कहना
अभी तो मिले हो अभी तुम न जाना
कि दिल बन गया है तुम्हारा दीवाना
हो ज़रा फिर से कहना
किसी दिन बनूंगी …

झुकी झुकी नज़र तेरी कमाल कर गई
उठी जो एक बार सौ सवाल कर गई
मेरी जवान धड़कनों में तेरी प्यास थी
लगा ये तुझको देखके तेरी तलाश थी
तस्वीर तेरी दिलबर मैं दिल में उतारूंगा
उलझे उलझे तेरे गेसुओं को संवारूंगा
ज़रा फिर से कहना
किसी दिन बनेगी तू राजा की रानी
ज़रा फिर से …

अभी तो मिले हो अभी तुम न जाना
कि मैं बन गया हूँ तुम्हारा दीवाना

तू फूल है चमन का मैं कली बहार की
मेरे लबों पे लिख दे दास्तान प्यार की
तू इश्क़ की जुबान हुस्न का बयान है
तू जां नशीं जान-ए-जां तू मेरी जां है
तारीफ़ न कर इतनी मैं होश गंवा बैठूं
ऐसा न हो चाहत में दुनिया भुला बैठूं
ज़रा फिर से …

kisī din banūṅgī maiṅ rājā kī rānī
zarā phir se kahnā
baṛī dilrubā hai ye sārī kahānī
zarā phir se kahnā
abhī to mile ho abhī tum na jānā
ki dil ban gayā hai tumhārā dīvānā
ho zarā phir se kahnā
kisī din banūṅgī …

jhukī jhukī nazar terī kamāl kar gaī
uṭhī jo ek bār sau savāl kar gaī
merī javān dhaṛaknoṅ meṅ terī pyās thī
lagā ye tujhko dekhke terī talāśh thī
tasvīr terī dilbar maiṅ dil meṅ utārūṅgā
uljhe uljhe tere gesuoṅ ko saṅvārūṅgā
zarā phir se kahnā
kisī din banegī tū rājā kī rānī
zarā phir se …

abhī to mile ho abhī tum na jānā
ki maiṅ ban gayā hūṇ tumhārā dīvānā

tū phūl hai chaman kā maiṅ kalī bahār kī
mere laboṅ pe likh de dāstān pyār kī
tū iśhq kī jubān husn kā bayān hai
tū jāṅ naśhīṅ jān-e-jāṅ tū merī jāṅ hai
tārīf na kar itnī maiṅ hośh gaṅvā baiṭhūṅ
aisā na ho chāhat meṅ duniyā bhulā baiṭhūṅ
zarā phir se …