terī tasvīr bhī tujh jaisī hasīṅ hai lekin
is pe qurbān merī jān-e-hazīṅ hai lekin
ye merī zakhmī umaṅgoṅ kā madāvā to nahīṅ
hāl-e-dil is but-e-kāfir ko sunāūṇ kaise
iske rukhsāroṅ kī śhādābī ko chheṛūṇ kyoṅkar
iske hoṅṭhoṅ ke tabassum ko jagāūṇ kaise
terī tasvīr bhī tujh jaisī …
yahī tasvīr tasavvur meṅ utar jāne par
chāṇd kī kirṇoṅ se go baṛhke nikhar jātī hai
dard palkoṅ se lipaṭ jātā hai āṇsū ban kar
merī ehsās kī duniyā hī bikhar jātī hai
is liye terī tasavvur se nahīṅ khud tujhse
iltijā kartā hūṇ bas itnā batā de mujhko
kyā merī dil kī taṛap kā tujhe ehsās bhī hai -2
varnā phir merī hī vahśhat meṅ sulā de mujhko
terī tasvīr bhī tujh jaisī hasīṅ hai lekin
is pe qurbān merī jān-e-hazīṅ hai lekin
ye merī zakhmī umaṅgoṅ kā madāvā to nahīṅ