bhupindar: ek hī khvāb kaī bār dekhā hai maiṅ ne
tūne sāṛī meṅ uṛas lī hai merī chābhiyāṇ ghar kī
aur chalī āyī hai
bas yūṇhī merā hāth pakaṛ kar
ek hī khvāb kaī bār …
ṭiku?
mez par phūl sajāte hue dekhā hai kaī bār
aur bistar se kaī bār jagāyā hai tujhko
chalte phirte tere kadmoṅ kī voh āhaṭ bhī sunī hai
huṇ?
ek hī khvāb kaī bār …
kyoṅ? chiṭṭhī hai yā kavitā?
hemā: abhī tak to kavitā hai
lā la lā la hmmmmm
bhupindar: gungunātī huī niklī hai nahā kar jab bhī
Laughs
aur?
apne bhīge hue bāloṅ se ṭapaktā pānī
mere chehre pe
chhiṭak detī hai tū ṭiku kī bachchī
ek hī khvāb kaī bār …
tāśh ke pattoṅ pe laṛtī hai kabhī kabhī khel meṅ mujhse
aur kabhī laṛtī bhī hai aise ke bas khel rahī hai mujhse
aur āġhośh meṅ nanhe ko liye
hemā: Will you shut up?
donoṅ: lā la la lā …
Both Laugh
bhupindar: aur jāntī ho ṭiku,
jab tumhārā ye khvāb dekhā thā,
apne bistar pe maiṅ us vaqt paṛā jāg rahā thā