Kidhar main jaaoon ... kabhee kisee kee khushiyaan koee loote naa

किधर मैं जाऊँ ... कभी किसी की ख़ुशियाँ कोई लूटे ना
Year
Language

किधर मैं जाऊँ समझ न पाऊँ बुला रही हैं दो राहें
इधर है ममता और उधर हैं भीगी निग़ाहें

कभी किसी की ख़ुशियाँ कोई लूटे ना
बनते-बनते महल किसी का टूटे ना
कभी किसी की …

भँवर से बच के एक भटकती नाव लगी थी किनारे
किसे ख़बर थी फिर पहुँचेगी इन आँसुओं के द्वारे
हाय इस तरह भाग किसी से रूठे ना
बनते-बनते महल …

अभी अभी दो फूलों वाली झूम रही थी डाली
घिरी अचानक काली बदली बिजली गिराने वाली
होते-होते साथ किसी का छूटे ना
बनते-बनते महल …

kidhar maiṅ jāūṇ samajh na pāūṇ bulā rahī haiṅ do rāheṅ
idhar hai mamtā aur udhar haiṅ bhīgī niġhāheṅ

kabhī kisī kī khuśhiyāṇ koī lūṭe nā
bante-bante mahal kisī kā ṭūṭe nā
kabhī kisī kī …

bhṇvar se bach ke ek bhaṭaktī nāv lagī thī kināre
kise khabar thī phir pahuṇchegī in āṇsuoṅ ke dvāre
hāy is tarah bhāg kisī se rūṭhe nā
bante-bante mahal …

abhī abhī do phūloṅ vālī jhūm rahī thī ḍālī
ghirī achānak kālī badlī bijlī girāne vālī
hote-hote sāth kisī kā chhūṭe nā
bante-bante mahal …