Khvaab ho tum yaa koee hakikat, kaun ho tum batlaao

ख्वाब हो तुम या कोई हकिकत, कौन हो तुम बतलाओ
Year
Language

ख़्वाब हो तुम या कोई हक़ीकत कौन हो तुम बतलाओ
देर से कितनी दूर खड़ी हो, और करीब आ जाओ

सुबह पे जिस तरह शाम का हो गुमान
ज़ुल्फ़ों में एक चेहरा, कुछ जाहीर कुछ निहार

धड़कनों ने सुनी एक सदा पाँव की
और दिल पे लहराई आँचल की छाँव सी

मिल ही जाती हो तुम मुझ को हर मोड़ पे
चल देती हो कितने अफ़साने छोड़ के

फिर पुकारो मुझे, फिर मेरा नाम लो
गिरता हूँ फिर अपनी बाहों में थाम लो

khvāb ho tum yā koī haqīkat kaun ho tum batlāo
der se kitnī dūr khaṛī ho, aur karīb ā jāo

subah pe jis tarah śhām kā ho gumān
zulfoṅ meṅ ek chehrā, kuchh jāhīr kuchh nihār

dhaṛaknoṅ ne sunī ek sadā pāṇv kī
aur dil pe lahrāī āṇchal kī chhāṇv sī

mil hī jātī ho tum mujh ko har moṛ pe
chal detī ho kitne afsāne chhoṛ ke

phir pukāro mujhe, phir merā nām lo
girtā hūṇ phir apnī bāhoṅ meṅ thām lo