Khushboo mahaknaa bhool jaae ... aapko main bhulaa naheen saktaa

खुश्बू महकना भूल जाए ... आपको मैं भुला नहीं सकता
Work
Year
Language

खुश्बू महकना भूल जाए पंछी चहकना भूल जाएं
चाँद निकलना भूल जाए सूरज ढलना भूल जाए
साँसें चलना भूल जाएं शमा जलना भूल जाए
धड़कन धड़कना भूल जाए मौसम बदलना भूल जाएं
दिल को पत्थर बना नहीं सकता
आपको मैं भुला नहीं सकता

दिल को पत्थर बना नहीं सकती
आपको मैं भुला नहीं सकती

मैं जो तुझसे कहूँ दे दे तू मुझको जां
इतनी चाहत मुझे कौन देगा यहां
सौ जनम तक तुझे प्यार करती रहूं
तेरी पलकों तले जीती मरती रहूं
ये हक़ीक़त छुपा नहीं सकता
आपको मैं भुला …

इश्क़ में तो मिलीं मुझको तन्हाइयां
साथ चलती रहीं मेरी परछाइयां
हो मैने जो मांगी दुआ सिर्फ़ मांगा तुझे
ये जो है दीवानगी तुझसे मिली है मुझे
दर्द दिल का बता नहीं सकती
आपको मैं भुला …

khuśhbū mahaknā bhūl jāe paṅchhī chahaknā bhūl jāeṅ
chāṇd nikalnā bhūl jāe sūraj ḍhalnā bhūl jāe
sāṇseṅ chalnā bhūl jāeṅ śhamā jalnā bhūl jāe
dhaṛkan dhaṛaknā bhūl jāe mausam badalnā bhūl jāeṅ
dil ko patthar banā nahīṅ saktā
āpko maiṅ bhulā nahīṅ saktā

dil ko patthar banā nahīṅ saktī
āpko maiṅ bhulā nahīṅ saktī

maiṅ jo tujhse kahūṇ de de tū mujhko jāṅ
itnī chāhat mujhe kaun degā yahāṅ
sau janam tak tujhe pyār kartī rahūṅ
terī palkoṅ tale jītī martī rahūṅ
ye haqīqat chhupā nahīṅ saktā
āpko maiṅ bhulā …

iśhq meṅ to milīṅ mujhko tanhāiyāṅ
sāth chaltī rahīṅ merī parchhāiyāṅ
ho maine jo māṅgī duā sirf māṅgā tujhe
ye jo hai dīvāngī tujhse milī hai mujhe
dard dil kā batā nahīṅ saktī
āpko maiṅ bhulā …