Tere mere dil men jo hai ... khullam khullaa pyaar karen

तेरे मेरे दिल में जो है ... खुल्लम खुल्ला प्यार करें
Year
Language

तेरे मेरे दिल में जो है वो कहना है
तेरे बिना अब कहीं भी न रहना है
ओ तेरे मेरे दिल में …

दुनिया से हम क्‌यूँ डरें खुल्लम खुल्ला प्यार करें
तेरे मेरे दिल में …

आँखों में तेरी आँखों का नशा
बातों में तेरी बातों का नशा
तेरे इश्क़ ने मुझको मारा
समझूं मैं तेरा इशारा
क्‌यूं मिलके आहें भरें
खुल्लम खुल्ला प्यार करें …

मैने वो सुना तूने जो कहा
अच्छा न लगे अब ये फ़ासला
मेरा हुस्न है आशिक़ाना
मेरा इश्क़ भी है दीवाना
क्‌यूं मिलके तन्हा जलें
खुल्लम खुल्ला प्यार करें …

tere mere dil meṅ jo hai vo kahnā hai
tere binā ab kahīṅ bhī na rahnā hai
o tere mere dil meṅ …

duniyā se ham k‌yūṇ ḍareṅ khullam khullā pyār kareṅ
tere mere dil meṅ …

āṇkhoṅ meṅ terī āṇkhoṅ kā naśhā
bātoṅ meṅ terī bātoṅ kā naśhā
tere iśhq ne mujhko mārā
samjhūṅ maiṅ terā iśhārā
k‌yūṅ milke āheṅ bhareṅ
khullam khullā pyār kareṅ …

maine vo sunā tūne jo kahā
achchhā na lage ab ye fāslā
merā husn hai āśhiqānā
merā iśhq bhī hai dīvānā
k‌yūṅ milke tanhā jaleṅ
khullam khullā pyār kareṅ …