Khulaa hai meraa pinjraa ... too hai shikaaree mujhe hai pataa

खुला है मेरा पिंजरा ... तू है शिकारी मुझे है पता
Year
Language

खुला है मेरा पिंजरा
हां खुला है मेरा पिंजरा आ मेरी मैना
चुरा ना ऐसे अखियां लड़ने दे नैना
तू है शिकारी मुझे है पता
जुल्मी तू अपना इरादा बता
हां खुला है मेरा पिंजरा …

मैने देखा तूने देखा मैं मर गई
अरे जादू कोई दिल पे मेरे तू कर गई
तुझे पलकों में मैं बंद करके रखूं
मैं तुझे अपनी बाहों में भरके रखूं
न यूं झूठे मूठे बहाने बना
मुझे यार है तेरी मर्ज़ी पता
खुला है मेरा पिंजरा …

तूने मेरे दिल को छीना तू मान ले
अरे मैं हूं तेरे दिल का राजा तू जान ले
तेरे पहलू में जीने में आए मज़ा
तेरी आँखों से पीने में आए मज़ा
मुझे पीने वाला महकता रहे
मुहब्बत में है मेरी ऐसा नशा
खुला है मेरा पिंजरा …

khulā hai merā piṅjrā
hāṅ khulā hai merā piṅjrā ā merī mainā
churā nā aise akhiyāṅ laṛne de nainā
tū hai śhikārī mujhe hai patā
julmī tū apnā irādā batā
hāṅ khulā hai merā piṅjrā …

maine dekhā tūne dekhā maiṅ mar gaī
are jādū koī dil pe mere tū kar gaī
tujhe palkoṅ meṅ maiṅ baṅd karke rakhūṅ
maiṅ tujhe apnī bāhoṅ meṅ bharke rakhūṅ
na yūṅ jhūṭhe mūṭhe bahāne banā
mujhe yār hai terī marzī patā
khulā hai merā piṅjrā …

tūne mere dil ko chhīnā tū mān le
are maiṅ hūṅ tere dil kā rājā tū jān le
tere pahlū meṅ jīne meṅ āe mazā
terī āṇkhoṅ se pīne meṅ āe mazā
mujhe pīne vālā mahaktā rahe
muhabbat meṅ hai merī aisā naśhā
khulā hai merā piṅjrā …