Khilte Hain Gul Yahan (female)

खिलते हैं गुल यहाँ, खिल के बिखर ने को
Work
Year
Language

खिलते हैं गुल यहाँ, खिलके बिखर ने को
मिलते हैं दिल यहाँ, मिलके बिछडने को

कल रहे ना रहे, मौसम ये प्यार का
कल रुके ना रुके, डोला बहार का
चार पल मिले जो आज प्यार में गुजार दो

झीलों के होठोंपर मेघों का राग है
फूलों के सीने में ठंडी ठंडी आग है
दिल के आईने में ये तू समा उतार ले

प्यासा है दिल सनम प्यासी ये रात है
होठों में दबी दबी कोई मीठी बात है
इन लम्हों पे आज तू हर खुशी निसार दे

khilte haiṅ gul yahāṇ, khilke bikhar ne ko
milte haiṅ dil yahāṇ, milke bichhaḍne ko

kal rahe nā rahe, mausam ye pyār kā
kal ruke nā ruke, ḍolā bahār kā
chār pal mile jo āj pyār meṅ gujār do

jhīloṅ ke hoṭhoṅpar meghoṅ kā rāg hai
phūloṅ ke sīne meṅ ṭhaṅḍī ṭhaṅḍī āg hai
dil ke āīne meṅ ye tū samā utār le

pyāsā hai dil sanam pyāsī ye rāt hai
hoṭhoṅ meṅ dabī dabī koī mīṭhī bāt hai
in lamhoṅ pe āj tū har khuśhī nisār de