Khattaa-meethaa ye jeenaa hai angoor kaa daanaa

खट्टा-मीठा ये जीना है अंगूर का दाना
Year
Language

को: खट्टा-मीठा -4
कि: ये जीना है अंगूर का दाना
ऊ: कुछ कच्चा है कुछ पक्‌का है
कि: अरे जितना खाया मीठा था
जो हाथ ना आया खट्टा है
को: ये जीना है …

कि: ये घूमता पहिया गोल रुपैया हाथ ना आए रे -2
अरे मैं हूँ इसके साथ ऐ साथी साथ ना जाए रे -2
अरे हाय हाय हाय हाय हाय दिल बोले
कि हाय दिल बोले
हाथ ना आए तो समझो है सपना
जेब में है तो माल है अपना
ये जीना है …

जी के देखो जीने वाले यूँ भी जीते हैं -2
ऊ: दिन की चादर फट जाए तो रात को सीते हैं -2
कि: अरे हाय हाय हाय हाय हाय दिल बोले
कि हाय दिल बोले
ऊ: थोड़ा सा रो के थोड़ा सा हँसना
थोड़ा सा रुकना थोड़ा सा चलना
ये जीना है …

ko: khaṭṭā-mīṭhā -4
ki: ye jīnā hai aṅgūr kā dānā
ū: kuchh kachchā hai kuchh pak‌kā hai
ki: are jitnā khāyā mīṭhā thā
jo hāth nā āyā khaṭṭā hai
ko: ye jīnā hai …

ki: ye ghūmtā pahiyā gol rupaiyā hāth nā āe re -2
are maiṅ hūṇ iske sāth ai sāthī sāth nā jāe re -2
are hāy hāy hāy hāy hāy dil bole
ki hāy dil bole
hāth nā āe to samjho hai sapnā
jeb meṅ hai to māl hai apnā
ye jīnā hai …

jī ke dekho jīne vāle yūṇ bhī jīte haiṅ -2
ū: din kī chādar phaṭ jāe to rāt ko sīte haiṅ -2
ki: are hāy hāy hāy hāy hāy dil bole
ki hāy dil bole
ū: thoṛā sā ro ke thoṛā sā hṇsnā
thoṛā sā ruknā thoṛā sā chalnā
ye jīnā hai …