maiṅ sunātā hūṇ tujhe ek kahānī sun le
o mere lāl zarā merī jabānī sun le
mere nanhe mere munne merī aulād hai tū
maine bhagvān se jo kī thī vo fariyād hai tū
bāp hūṇ terā magar tujhko khilā saktā nahīṅ
donoṅ hāthoṅ se kabhī tujhko uṭhā saktā nahīṅ
tū agar chāhe ki ban jāūṇ maiṅ terā ghoṛā
jo na ban pāūṇ to dukh hogā tujhe bhī thoṛā
lekin ik bāt mere bachche tujhe yād rahe -2
dil terī māṇ kā tere pyār se ābād rahe
tū ho ke baṛā ban jānā apnī mātā kā rakhvālā
badaqismat ke ghar meṅ huā hai paidā qismatvālā
tū ho ke baṛā …
tere do hāthoṅ kī tāqat hī taqdīr hai terī
mehnat jiskā nām hai beṭā vo jāgīr hai terī
har muśhkil se laṛ saktā hai do do hāthoṅ vālā
tū ho ke baṛā …
dekh kisī ke raste kī dīvār kabhī nā honā -2
jab tak jāge terā paṛosī tab tak tū na sonā
dard parāye kā letā hai koī nasīboṅ vālā
tū ho ke baṛā …
pāṇv jahāṇ tere paṛ jāeṅ phūl vahāṇ khil jāeṅ -2
pyār se tere bichhaṛe dil bhī āpas meṅ mil jāeṅ -2
kahtā hai ye chāṇd sā mukhaṛā tū hai muhabbat vālā
tū ho ke baṛā …