prṇay virah aur milan kī kathā suno sāthī
abhigyān śhākuntal sundar abhinay kalā ???
ā'
sakhī hriday meṅ halchal kyoṅ hone lagī
merī akhiyāṇ do chaṅchal kyoṅ hone lagī
gayā bachapan kā rāt din āyā vo āj
tan kumhlāye ab singār se
pāṇv dabte haiṅ yauvan ke bhār se
koī kānoṅ meṅ gun gun gun gāne lagā
dekho bhanvrā bhī hamko satāne lagā
ḍaṅk māre kyoṅ jor
mat kar itnā śhor
koī āyegā terī pukār se
pāṇv dabte haiṅ yauvan ke bhār se
kaṇv sutā priy śhakuntlā nahīṅ āṇchal sakī sambhāl
rūp dekh duṣhyant kā hāy huī behāl
ye tapasvini vo rājā phir bhi anhoni ho gayi
pūrṇ yauvnā prtham milan kī prtham driṣhṭī meṅ kho gayī
rājā ne bhī ghar aur jag kī zarā na kī parvāh
śhakuntal ke saṅg kiyā ban meṅ gandharv vivāh
kar vivāh de kar vachan
nṛp ne kiyā prasthān
kintu śhāpvaṣh bhūl gaye vo śhakuntlā kā dhyān
bhūl gaye kyoṅ de ke vachan
tan ko jalāye birhā agan
yā chale āo, yā mujhko bulāo
darśhan bin akulāye nayan
bhūl gaye kyoṅ de ke vachan
bhūl gaye bhūl gaye bhūl gaye
bhūl gaye kyoṅ bhūl gaye
birhā tāp se byākul birahan
sah na sakī judāī
priyaṅvdā ne māṇ ke god meṅ ye kathā sunāyī
māṇ kī mamtā bharī, do akhiyāṇ karuṇā se bhar āyīṇ
pitā kaṇv lāṛlī śhakun ko dete āj bidāi
rone lagī āśhram ke sakhiyāṇ sahelī
rone lagī bagiyā kī sāthi chamelī
hirṇā bhī roy jis ke saṅg zarā khelī
chhoṛ hameṅ āj kahāṇ chalī ho akelī
naynoṅ meṅ ullās thā man meṅ milan kī ās
māṇ ke saṅg śhakuntlā pahuṇchī piyā ke pās
badal gaye duṣhyant nṛp vidhi kā ajab vidhān
durvāsā ke śhāp vaśh sake nahīṅ pahchān
kaun ho kahāṇ se ā rahī ajān nār tum
kyā batāūṇ jab bhulāte ho hamārā pyār tum
pyār kaisā pyār? pyār kaisā pyār
jhūṭhh boltī zabān tum
dekh lo diyā huā aṅgūṭhī kā niśhān tum
maiṅ na jāntā tumheṅ ye kaisā nārī vaṅśh hai
mere garbh meṅ tumhāre vaṅśh hī kā aṅśh hai
jā apne ghar sundrī khaṛī yahāṇ kyoṅ maun
jā kalaṅkinī piyā nahīṅ to ham bhī tumhāre kaun
ṭūṭ paṛā ākāśh, phaṭā dharitrī māṇ
mujhe sambhālo god meṅ
piyā hue ajñān