Kattee kattee ... maan mere bhaaee maan jaa

कट्टी कट्टी ... मान मेरे भाई मान जा
Work
Year
Language

कट्टी कट्टी हो कट्टी कट्टी
मान मेरे भाई मान जा ऐसे रूठ के ना जा दिल तोड़ के
जान चली जाए जिस्म से भाई जा नहीं भाई को छोड़ के
कट्टी कट्टी …

माफ़ कर दो माफ़ कर दो हो गई है जो खता
छोड़ो छोड़ो जाने दो ना रोको ना मेरा रस्ता
देखो जी देखो मुस्कुरा के हाथों को मेरे थाम लो
जाओ जी जाओ ना पता जी ऐसे ना मेरा नाम लो
जान दे दूंगा कसम से तुम गए जो मुंह मोड़ के
कट्टी कट्टी …

मैं तुम्हारा तुम हो मेरे ना है कोई तीसरा
तुम पढ़ो आगे बढ़ो बस है यही मेरी दुआ
मैं हूँ तुम्हारी ज़िन्दगानी आके लगा लो तुम गले
तुम पे कभी ना आँच आए रखूं तुम्हें पलकों तले
हम तो इस दुनिया में आए जन्मों का नाता जोड़ के
कट्टी कट्टी …

kaṭṭī kaṭṭī ho kaṭṭī kaṭṭī
mān mere bhāī mān jā aise rūṭh ke nā jā dil toṛ ke
jān chalī jāe jism se bhāī jā nahīṅ bhāī ko chhoṛ ke
kaṭṭī kaṭṭī …

māf kar do māf kar do ho gaī hai jo khatā
chhoṛo chhoṛo jāne do nā roko nā merā rastā
dekho jī dekho muskurā ke hāthoṅ ko mere thām lo
jāo jī jāo nā patā jī aise nā merā nām lo
jān de dūṅgā kasam se tum gae jo muṅh moṛ ke
kaṭṭī kaṭṭī …

maiṅ tumhārā tum ho mere nā hai koī tīsrā
tum paṛho āge baṛho bas hai yahī merī duā
maiṅ hūṇ tumhārī zindgānī āke lagā lo tum gale
tum pe kabhī nā āṇch āe rakhūṅ tumheṅ palkoṅ tale
ham to is duniyā meṅ āe janmoṅ kā nātā joṛ ke
kaṭṭī kaṭṭī …