rafī: o ho ho, o ho ho, ā hā hā
mmmm, ye dekhke dil jhūmā, lī pyār ne aṅgaṛāī
dīvānā huā bādal
sāvan kī ghaṭā chhāī
ye dekhke dil jhūmā, lī pyār ne aṅgaṛāī
dīvānā huā bādal
aisī to merī taqdīr na thī
tumsā jo koī mahbūb mile
(dil āj khuśhī se pāgal hai) - 2
(ai jānevafā tum khūb mile) - 2
dil kyūṇ nā bane pāgal, kyā tumne adā pāī
ye dekhke dil jhūmā, lī pyār ne aṅgaṛāī
dīvānā huā bādal
āśhā: jab tumse nazar ṭakrāī sanam
jazbāt kā ek tūfān uṭhā
(tinke kī tarah maiṅ bah niklī) - 2
(sailād mere roke na rukā) - 2
jīvan meṅ machī halchal
aur bajne lagī śhahnāī
ye dekhke dil jhūmā, lī pyār ne aṅgaṛāī
rafī: dīvānā huā bādal
hai āj naye armānoṅ se, ābād merī dil kī nagrī
(barsoṅ se fizāṇ kā mausam thā) - 2
(vīrān baṛī duniyā thī merī) - 2
hāthoṅ meṅ terā āṇchal, āyā jo bahār āī
ye dekhke dil jhūmā, lī pyār ne aṅgaṛāī
āśhā: dīvānā huā bādal, sāvan ki ghaṭā chhāī
ye dekhke dil jhūmā, lī pyār ne aṅgaṛāī
rafī: dīvānā huā bādal, sāvan kī ghaṭā chhāī
ye dekhke dil jhūmā, lī pyār ne aṅgaṛāī,
dīvānā huā bādal