Kasam se kasam se o rabbaa kasam se ab na judaaee sahee jaaye hamse

कसम से कसम से ओ रब्बा कसम से अब न जुदाई सही जाये हमसे
Year
Language

कसम से कसम से ओ रब्बा कसम से
अब न जुदाई सही जाये हमसे
कसम से कसम से …

घुंघरू बनती है रुत ये सुहानी काली घटा से बरसता है पानी
हम जल रहे हैं बिरहा के ग़म से
कसम से कसम से …

चाँद सितारे हैं दूर कितने हम पास रह के हैं दूर उतने
टूट गया है दिल ज़ुल्म-ओ-सितम से
कसम से कसम से …

माथे की बिंदिया चमकती नहीं है हाथों की चूड़ी खनकती नहीं है
मेंहदी निगोड़ी भी क्‌या रंग लाई रात मिलन की बनी रे जुदाई
हम मिल न पाये अपने बलम से
ओ रब्बा कसम से …

kasam se kasam se o rabbā kasam se
ab na judāī sahī jāye hamse
kasam se kasam se …

ghuṅghrū bantī hai rut ye suhānī kālī ghaṭā se barastā hai pānī
ham jal rahe haiṅ birhā ke ġham se
kasam se kasam se …

chāṇd sitāre haiṅ dūr kitne ham pās rah ke haiṅ dūr utne
ṭūṭ gayā hai dil zulm-o-sitam se
kasam se kasam se …

māthe kī biṅdiyā chamaktī nahīṅ hai hāthoṅ kī chūṛī khanaktī nahīṅ hai
meṅhdī nigoṛī bhī k‌yā raṅg lāī rāt milan kī banī re judāī
ham mil na pāye apne balam se
o rabbā kasam se …