Kasam k‌yaa hotee hai ... jo toree naa jaae bichhoree naa paae

कसम क्‌या होती है ... जो तोड़ी ना जाए बिछोड़ी ना पाए
Work
Year
Language

कसम क्‌या होती है कसम वो होती है
जो तोड़ी ना जाए बिछोड़ी ना पाए
कसम क्‌या होती है …

यार बिछड़ने लगते हैं तो रब की आँख भी रोती है
कसम क्‌या होती है …

तेरी कसम लूं हमसे जो रूठी जां से गुज़र जाएंगे ही
तेरी हाँ से जी उठेंगे ना से मर जाएंगे ही
बात बात में कसम क्‌या खाना कसम मज़ाक नहीं है
कसम है जितनी पाक चीज़ कोई उतनी पाक नहीं है
दिलों का संगम है हो कसम गंगाजल है
प्यार पे दाग जो लग जाए तो अपने लहू से धोती है
कसम क्‌या होती है …

दिलों के लिए ज़रूरी नहीं है दुनिया की मंज़ूरी
कसम प्यार की नहीं मानती जन्मों की भी दूरी
तन्हाई को महकाती है यादों की कस्तूरी
कसम है वो जो हर हालत में की जाती है पूरी
कसम इक गीता है कसम वो सीता है
राजमहल के छोड़ के सुख जो अंगारों पे सोती है
कसम क्‌या होती है …

kasam k‌yā hotī hai kasam vo hotī hai
jo toṛī nā jāe bichhoṛī nā pāe
kasam k‌yā hotī hai …

yār bichhaṛne lagte haiṅ to rab kī āṇkh bhī rotī hai
kasam k‌yā hotī hai …

terī kasam lūṅ hamse jo rūṭhī jāṅ se guzar jāeṅge hī
terī hāṇ se jī uṭheṅge nā se mar jāeṅge hī
bāt bāt meṅ kasam k‌yā khānā kasam mazāk nahīṅ hai
kasam hai jitnī pāk chīz koī utnī pāk nahīṅ hai
diloṅ kā saṅgam hai ho kasam gaṅgājal hai
pyār pe dāg jo lag jāe to apne lahū se dhotī hai
kasam k‌yā hotī hai …

diloṅ ke lie zarūrī nahīṅ hai duniyā kī maṅzūrī
kasam pyār kī nahīṅ māntī janmoṅ kī bhī dūrī
tanhāī ko mahkātī hai yādoṅ kī kastūrī
kasam hai vo jo har hālat meṅ kī jātī hai pūrī
kasam ik gītā hai kasam vo sītā hai
rājamahal ke chhoṛ ke sukh jo aṅgāroṅ pe sotī hai
kasam k‌yā hotī hai …