Kasam khaa ke kaho muskuraa ke kaho ... tumko hamse pyaar hai

कसम खा के कहो मुस्कुरा के कहो ... तुमको हमसे प्यार है
Year
Language

कसम खा के कहो मुस्कुरा के कहो
दिल लगा के कहो पास आ के कहो
तुमको हमसे प्यार है

शरमा के कहो बल खा के कहो
हाँ कहो न कहो बस कहती रहो
तुमको हमसे प्यार है

एक अजब सी दिल में हसरत होती है तुमको देख के
चाहें तुमको दिल में चाहत होती है तुमको देख के
हमें प्यार करो इकरार करो साँसों में बसा के रख लो
तुम शाम-ओ-सहर दीदार करो ख्वाबों में छुपा के रख लो
नज़र झुका के कहो पलक उठा के कहो
हाँ कहो न कहो …

इक बेचैनी सी होती है अब तो तेरे नाम से
इश्क़ हुआ जब से ना गुज़रा इक लम्हा आराम से
क्‌या हाल हुआ चाहत में सनम मुश्किल है तुमसे कुछ कहना
है तुमको कसम महबूब कभी आँखों से दूर ना रहना
इतरा के कहो झिलमिला के कहो
हाँ कहो न कहो …

kasam khā ke kaho muskurā ke kaho
dil lagā ke kaho pās ā ke kaho
tumko hamse pyār hai

śharmā ke kaho bal khā ke kaho
hāṇ kaho na kaho bas kahtī raho
tumko hamse pyār hai

ek ajab sī dil meṅ hasrat hotī hai tumko dekh ke
chāheṅ tumko dil meṅ chāhat hotī hai tumko dekh ke
hameṅ pyār karo ikrār karo sāṇsoṅ meṅ basā ke rakh lo
tum śhām-o-sahar dīdār karo khvāboṅ meṅ chhupā ke rakh lo
nazar jhukā ke kaho palak uṭhā ke kaho
hāṇ kaho na kaho …

ik bechainī sī hotī hai ab to tere nām se
iśhq huā jab se nā guzrā ik lamhā ārām se
k‌yā hāl huā chāhat meṅ sanam muśhkil hai tumse kuchh kahnā
hai tumko kasam mahbūb kabhī āṇkhoṅ se dūr nā rahnā
itrā ke kaho jhilmilā ke kaho
hāṇ kaho na kaho …