करवटें बदलते रहे सारी रात हम्
करवटें बदलते रहे सारी रात हम, आप की क़सम
ग़म न करो दिन जुदाई के बहुत हैं कम, आप की क़सम
याद तुम आते रहे इक हूक़ सी उठती रही
नींद मुझसे, नींद से मैं भागती छुपती रही
रात भर बैरन निगोड़ी चाँदनी चुभती रही
आग सी जलती रही, गिरती रही शबनम, आप की क़सम …
झील की आँखों में आशिक़ डूब के खो जायेगा
ज़ुल्फ़ के साये में दिल नग़मा भरा सो जायेगा
तुम चले जाओ नहीं तो कुछ न कुछ हो जायेगा
डगमगा जायेंगे ऐसे हाल में क़दम, आप की क़सम …
रूठ जायें हम तो तुम हमको मना लेना सनम
दूर हों तो पास हमको तुम बुला लेना सनम
कुछ गिला हो तो गले हमको लगा लेना सनम
टूट न जाये कभी ये प्यार की क़सम, आप की क़सम …
karavṭeṅ badalte rahe sārī rāt ham, āp kī qasam
ġham na karo din judāī ke bahut haiṅ kam, āp kī qasam
yād tum āte rahe ik hūq sī uṭhtī rahī
nīṅd mujhse, nīṅd se maiṅ bhāgtī chhuptī rahī
rāt bhar bairan nigoṛī chāṇdnī chubhtī rahī
āg sī jaltī rahī, girtī rahī śhabnam, āp kī qasam …
jhīl kī āṇkhoṅ meṅ āśhiq ḍūb ke kho jāyegā
zulf ke sāye meṅ dil naġhmā bharā so jāyegā
tum chale jāo nahīṅ to kuchh na kuchh ho jāyegā
ḍagamgā jāyeṅge aise hāl meṅ qadam, āp kī qasam …
rūṭh jāyeṅ ham to tum hamko manā lenā sanam
dūr hoṅ to pās hamko tum bulā lenā sanam
kuchh gilā ho to gale hamko lagā lenā sanam
ṭūṭ na jāye kabhī ye pyār kī qasam, āp kī qasam …