करम की भीख माँगी ... बता ऐ आसमाँ वाले
करम की भीख माँगी हमने तुमसे और सितम पाया
ख़ुशी लेने को आए दर पे और ग़म पाया
बता ऐ आसमाँ वाले तेरे बंदे किधर जाएँ
वही बेदर्द दुनिया है जहाँ जाएँ जिधर जाएँ
बता ऐ आसमाँ वाले …
जफ़ाओं पर जफ़ा बेदाद होती है
हमारी उम्र ही क्या मौत भी बरबाद होती है
हमें इतना तो बतला दे जिएँ हम या के मर जाएँ
बता ऐ आसमाँ वाले …
जिगर छलनी है और दिल ग़म के तीरों का निशाना है
हमारी ज़िन्दगी इक दर्द का फ़साना है
न जीने का ठिकाना है न मरने का ठिकाना है
जो तेरे दर से ठुकराए गए वो किसके दर जाएँ
बता ऐ आसमाँ वाले …
अरे ओ मुस्करा कर मेरी हालत देखने वालों
कोई तो रहम फ़रमाओ मुसीबत देखने वालों
कहीं ऐसा न हो हम ठोकरें खा के मर जाएँ
बता ऐ आसमाँ वाले …
karam kī bhīkh māṇgī hamne tumse aur sitam pāyā
khuśhī lene ko āe dar pe aur ġham pāyā
batā ai āsmāṇ vāle tere baṅde kidhar jāeṇ
vahī bedard duniyā hai jahāṇ jāeṇ jidhar jāeṇ
batā ai āsmāṇ vāle …
jafāoṅ par jafā bedād hotī hai
hamārī umr hī kyā maut bhī barbād hotī hai
hameṅ itnā to batlā de jieṇ ham yā ke mar jāeṇ
batā ai āsmāṇ vāle …
jigar chhalnī hai aur dil ġham ke tīroṅ kā niśhānā hai
hamārī zindgī ik dard kā fasānā hai
na jīne kā ṭhikānā hai na marne kā ṭhikānā hai
jo tere dar se ṭhukrāe gae vo kiske dar jāeṇ
batā ai āsmāṇ vāle …
are o muskrā kar merī hālat dekhne vāloṅ
koī to raham farmāo musībat dekhne vāloṅ
kahīṅ aisā na ho ham ṭhokreṅ khā ke mar jāeṇ
batā ai āsmāṇ vāle …