Kar sakegaa na judaa tum ko kabhee ham se zamaanaa

कर सकेगा न जुदा तुम को कभी हम से ज़माना
Work
Language

बाद मुद्दत के हुआ दूर अँधेरा ग़म का
आज से फिर मेरी क़िस्मत का सितारा चमका

कर सकेगा न जुदा तुम को कभी हम से ज़माना
चल सकेगा न किसी का भी कोई हम पे बहाना

जो शर्त लगायी थी हुई वो आज पूरी
कि हुई आज पूरी
सच्ची है मुहब्बत तो रहे कैसे अधूरी
हाँ रहे कैसे अधूरी
पड़ के दुनिया की धमकियों में कहीं भूल न जाना
चल सकेगा न किसी का भी …

ओऽ
कलियाँ हैं कहीं फूल कहीं चाँद सितारे
दीवाना हुआ जाता है दिल प्यार के मारे
आओ फिर गायें गले मिल के मुहब्बत का तराना
चल सकेगा न किसी का भी …

bād muddat ke huā dūr aṇdherā ġham kā
āj se phir merī qismat kā sitārā chamkā

kar sakegā na judā tum ko kabhī ham se zamānā
chal sakegā na kisī kā bhī koī ham pe bahānā

jo śhart lagāyī thī huī vo āj pūrī
ki huī āj pūrī
sachchī hai muhabbat to rahe kaise adhūrī
hāṇ rahe kaise adhūrī
paṛ ke duniyā kī dhamkiyoṅ meṅ kahīṅ bhūl na jānā
chal sakegā na kisī kā bhī …

o'
kaliyāṇ haiṅ kahīṅ phūl kahīṅ chāṇd sitāre
dīvānā huā jātā hai dil pyār ke māre
āo phir gāyeṅ gale mil ke muhabbat kā tarānā
chal sakegā na kisī kā bhī …