Kar lo meraa aitbaar ... sone chaandee se mahangaa

कर लो मेरा ऐतबार ... सोने चाँदी से महंगा
Year
Language

कर लो कर लो मेरा ऐतबार यारों
सोने चाँदी से महंगा है प्यार यारों
दर्द-ए-दिल को ये देगा करार यारों
सोने चाँदी से …

इसके जैसा यहां बोल कोई नहीं
इसका होता यहां मोल कोई नहीं
इसमें खुशियां छुपी बेशुमार यारों
सोने चाँदी से …

आँधियां थम गईं कारवां भी रुके
तख्त और ताज भी इसके आगे झुके
करके देखो इसे एक बार यारों
सोने चाँदी से …

kar lo kar lo merā aitbār yāroṅ
sone chāṇdī se mahaṅgā hai pyār yāroṅ
dard-e-dil ko ye degā karār yāroṅ
sone chāṇdī se …

iske jaisā yahāṅ bol koī nahīṅ
iskā hotā yahāṅ mol koī nahīṅ
ismeṅ khuśhiyāṅ chhupī beśhumār yāroṅ
sone chāṇdī se …

āṇdhiyāṅ tham gaīṅ kārvāṅ bhī ruke
takht aur tāj bhī iske āge jhuke
karke dekho ise ek bār yāroṅ
sone chāṇdī se …