chal bhāg chaleṅ pūrab kī or
pyār merā nā chorī kar leṅ ye paśhchim ke chor re -2
( chal bhāg chaleṅ ) -2 pūrab kī or
( gar ye terā raṅg salonā ) -2 aur ye kāle nain na hote
dekh ke tujhko paśhchim vāle āj yūṇ bechain na hote
rām kare tū ho jāe gorā bhāg jāeṇ sab chor re
chal bhāg chaleṅ …
( baiṭhe chāroṅ or śhikārī ) -2 rūp kā jāl bichhā ke
o pūrab ke bhole paṅchhī uṛ jā paṅkh phailā ke
( o mere ) -2 pūnam ke chaṅdā jhūṭh ye chakore re
chal bhāg chaleṅ …
( aṅg dikhā kar jarman vālī ) -2 pakaṛe terī baiṅyā
pairis vālī kī khuśhbū se bachnā more saiṅyā
( dekh pyār ke ) -2 choroṅ ko hī paṛ nā jāeṇ mor re
chal bhāg chaleṅ …