āśhā: achchhā jī maiṅ hārī, chalo mān jāo nā
rafī: dekhī sabkī yārī, merā dil jalāo nā
āśhā: (chhoṭe se qusūr pe, aise ho khafā
rafī: rūṭhe to huzūr the, merī kyā khatā ) - 2
āśhā: dekho dil nā toṛo
rafī: chhoṛo hāth chhoṛo
āśhā: dekho dil na toṛo
rafī: are! chhoṛo hāth chhoṛo
āśhā: chhoṛ diyā to hāth maloge samjhe?
rafī: ajī samjhe!
āśhā: (jīvan ke ye rāste, lambe haiṅ sanam
rafī: kāṭeṅge ye ziṅdgī, ṭhokar khāke ham ) - 2
āśhā: oy! zālim sāth dele
rafī: achchhe ham akele
āśhā: zālim sāth dele
rafī: are achchhe ham akele
āśhā: chār kadam bhī chal na sakoge samjhe?
rafī: hāṇ samjhe!
āśhā: (jāo rah sakoge nā tum bhī chain se
rafī: tum to khair lūṭnā jīneke maze ) - 2
āśhā: kyā karnā hai jīke
rafī: ho rahnā kisī ke
āśhā: kyā karnā hai jīke
rafī: are, ho rahnā kisī ke
āśhā: ham nā rahe to yād karoge, samjhe?
rafī: samjhe!
āśhā: achchhā jī maiṅ hārī, chalo mān jāo nā
rafī: dekhī sabkī yārī, merā dil jalāo nā