ra: merī tasvīr lekar kyā karoge tum merī tasvīr lekar
merī tasvīr lekar kyā karoge tum merī tasvīr lekar
merī tasvīr lekar, dil-e-dil jīr lekar
luṭī jāgīr lekar, jalī taqdīr lekar
kyā karoge kyā karoge tum merī tasvīr lekar
merī tasvīr lekar kyā karoge tum merī tasvīr lekar
ā: chale ho ab na jāne kab miloge
sabab koī banegā tab miloge
na jīne kā na marne kā bahānā
kaṭegā kaise fursat kā zamānā
hameṅ de jāo ek apnī niśhānī
baṛī hogī tumhārī maharbānī
sukūn kī to koī tadbīr hogī
hamāre pās ye tasvīr hogī
ra: merī tasvīr bhī mujhsī kahāṇ hai
ke ye bejān hai ye bezubān hai
tumhāre kām ye na ā sakegī
tumhārā dil na ye bahlā sakegī
junūn meṅ to girahbān chāk hogā
ke parvānā to jal ke khāk hogā
tumhāre sāmne jab ham no hoṅge
ye ġham tasvīr se to kam na hoṅge
yūṇhī taṛpoge tum āheṅ bharoge
kyā karoge tum merī tasvīr lekar
merī tasvīr lekar kyā karoge tum merī tasvīr lekar
ā: bajah hai bāt ye ham mānte haiṅ
na bahlegī tabīyat jānte haiṅ
kareṅgī hasarteṅ fariyād aksar
ke tum āyā karoge yād aksar
ġham-e-furqat na hogā yūṇ gavārā
magar thoṛā sā to hogā sahārā
judāī meṅ mulāqāteṅ kareṅge
ke ham tasvīr se bāteṅ kareṅge
ra: khayāloṅ meṅ basā lo merī sūrat
merī tasvīr kī hai kyā zarūrat
merī yādoṅ ko samjho yādgāreṅ
khizāṅ meṅ bhī raheṅgī phir bahāreṅ
samay khvāboṅ kā hotā hai suhānā
kabhī ānā kabhī mujhko bulānā
hameṅ ek dūsre kī dīd hogī
nihāgoṅ kī diloṅ kī īd hogī
na mānoge to ro-ro ke maroge
kyā karoge tum merī tasvīr lekar
merī tasvīr lekar kyā karoge tum merī tasvīr lekar
ā: bahāne par banāte ho bahānā
dīvāne ho banāte ho dīvānā
khudā jāne tumheṅ inkār kyūṇ hai
hameṅ phir bhī tumhīṅ se pyār kyūṇ hai
sitam ke tīr ham pe chhoṛte ho
na aisī bevafā be-tīr hogī
bhalī tum se to ye tasvīr hogī
ra: guzāriśh āpke dildār kī hai
vajah ek aur bhī inkār kī hai
zamāne kī nigāhoṅ se bachāke
ise tum lākh rakhoge chhupāke
kisī din dekh hī legā zamānā
o, baṛā maśhhūr hogā ye fasānā
jo logoṅ kī zubāṅ tak bāt pahuṇche
to phir jāne kahāṇ tak bāt pahuṇche
kaho kyā pyār ko rusvā karoge
kyā karoge tum merī tasvīr lekar
merī tasvīr lekar kyā karoge tum merī tasvīr lekar
ā: hameṅ manzoor ye rusvāiyāṇ haiṅ
ke inse bhī burī tanhāiyāṇ haiṅ
ra: muhabbat ke nahīṅ dastūr aise
hameṅ charche nahīṅ manzoor aise
ā: vafā meṅ log luṭāte haiṅ jāneṅ
tumheṅ āśhiq bhalā ham kaise māneṅ
ra: śhubhā ho iśhq meṅ to imtehāṅ lo
merī tasvīr na lo merī jāṅ lo
kaho jāne-vafā ab kyā kahoge
kyā karoge tum meri tasvīr lekar
meri tasvīr lekar…
ra: zubāṅ kyūṇ ruk gaī hai
ho, nigāh kyūṇ jhuk gaī hai
ajī ghabrā gae kyā
kaho śharmā gae kyā
abhī hai rāt baqī
abhī hai bāt baqī
abhī se hār baiṭhe
dil-o-jāṅ vār baiṭhe
nayā aṅdāz koī
naī parvāz koī
laboṅ ko sī liyā kyā
zahar pī liyā kyā
chale taqrār āge
chalo sarkār āge
bane tasvīr kyā baiṭhe rahoge
kyā karoge tum merī tasvīr lekar
merī tasvīr lekar
merī tasvīr lekar