Kal Raat Ho Gayi Mulakat Ho Gayi

कल रात हो गई मुलाकात हो गई
Work
Year
Language

कल रात हो गई मुलाकात हो गई
कुछ सुन भी लिया कुछ कह भी लिया
कल late हुए वो कह ना सके
जो कहनी थी वो दिल में रही
क्‌या कहना था
कहना था के प्यार हो गया है
कहना था के दिल खो गया है
कहना था के जी ना सकेंगे
हां कहना था के फिर कब मिलेंगे
कल रात हो गई …

मैं तेरे बारे में सोचता रहा हां
मेरा दिल बस तुझको चाहता रहा
मिला पल भर को मुझसे ये हाल कर गया
तेरा यूं मिलने आना कमाल कर गया
ना जाने फिर कब कैसे मिलना होगा जानां
जल्दी आऊंगी कुछ देर दिल को समझाना
ओ आ
कल रात हो गई …

मिले जो तन्हाई में घूमते रहे हां
लबों से रुखसारों को चूमते रहे
नहीं जाना था फिर भी छोड़ के गए
हम एक दूजे का दिल तोड़ के गए
थोड़े से दीवाने थे और थोड़े से पागल
बिखरी बिखरी ज़ुल्फ़ें थीं और बिखरा था आँचल
आ आ
कल रात हो गई …

kal rāt ho gaī mulākāt ho gaī
kuchh sun bhī liyā kuchh kah bhī liyā
kal late hue vo kah nā sake
jo kahnī thī vo dil meṅ rahī
k‌yā kahnā thā
kahnā thā ke pyār ho gayā hai
kahnā thā ke dil kho gayā hai
kahnā thā ke jī nā sakeṅge
hāṅ kahnā thā ke phir kab mileṅge
kal rāt ho gaī …

maiṅ tere bāre meṅ sochtā rahā hāṅ
merā dil bas tujhko chāhtā rahā
milā pal bhar ko mujhse ye hāl kar gayā
terā yūṅ milne ānā kamāl kar gayā
nā jāne phir kab kaise milnā hogā jānāṅ
jaldī āūṅgī kuchh der dil ko samjhānā
o ā
kal rāt ho gaī …

mile jo tanhāī meṅ ghūmte rahe hāṅ
laboṅ se rukhsāroṅ ko chūmte rahe
nahīṅ jānā thā phir bhī chhoṛ ke gae
ham ek dūje kā dil toṛ ke gae
thoṛe se dīvāne the aur thoṛe se pāgal
bikhrī bikhrī zulfeṅ thīṅ aur bikhrā thā āṇchal
ā ā
kal rāt ho gaī …