Kal kisne dekhaa kal aae naa aae ... door jaao na tum paas aane do

कल किसने देखा कल आए ना आए ... दूर जाओ न तुम पास आने दो
Work
Year
Language

कल किसने देखा कल आए ना आए
फिर तेरी ज़ुल्फ़ों के मिलें ना साए
आज होता है जो हो जाने दो
दूर जाओ न तुम पास आने दो
कल किसने देखा …

ये रात हम दोनों को बर्बाद कर जाएगी
चारों तरफ़ दूर तक कल ये खबर जाएगी
शहर की गलियों में चर्चे होंगे
प्यार में मिट गए दीवाने दो
दूर जाओ न …

कुछ भी करो कुछ करो कुछ तो बदन गर्म हो
हो पकड़ो ना आंचल मेरा तुम कितने बेशर्म हो
जान है मुश्किल में तुम सोचो ये दिल में
पल दो पल हम हैं पल दो पल भी क्‌या कम हैं
लट उलझी हुई है सुलझाने दो
दूर जाओ न …

हो लगती है सर्दी मुझे बाहें मेरी थाम लो
अपनी मुहब्बत से तुम अब आग का काम लो
अब तो मरना है फिर किससे डरना है
छोड़ो रस्मों को तोड़ो कसमों को
घूंघट लाज का उठ जाने दो
दूर जाओ न …

फिर तेरी पलकों के मिलें ना साए
आज होता है जो हो जाने दो

kal kisne dekhā kal āe nā āe
phir terī zulfoṅ ke mileṅ nā sāe
āj hotā hai jo ho jāne do
dūr jāo na tum pās āne do
kal kisne dekhā …

ye rāt ham donoṅ ko barbād kar jāegī
chāroṅ taraf dūr tak kal ye khabar jāegī
śhahar kī galiyoṅ meṅ charche hoṅge
pyār meṅ miṭ gae dīvāne do
dūr jāo na …

kuchh bhī karo kuchh karo kuchh to badan garm ho
ho pakaṛo nā āṅchal merā tum kitne beśharm ho
jān hai muśhkil meṅ tum socho ye dil meṅ
pal do pal ham haiṅ pal do pal bhī k‌yā kam haiṅ
laṭ uljhī huī hai suljhāne do
dūr jāo na …

ho lagtī hai sardī mujhe bāheṅ merī thām lo
apnī muhabbat se tum ab āg kā kām lo
ab to marnā hai phir kisse ḍarnā hai
chhoṛo rasmoṅ ko toṛo kasmoṅ ko
ghūṅghaṭ lāj kā uṭh jāne do
dūr jāo na …

phir terī palkoṅ ke mileṅ nā sāe
āj hotā hai jo ho jāne do