Kaisee hai ye deevaangee ... dil kahtaa hai yaheen ruk jaae

कैसी है ये दीवानगी ... दिल कहता है यहीं रुक जाए
Work
Year
Language

कैसी है ये दीवानगी कैसी है ये दिल की लगी
दिल कहता है यहीं रुक जाए पल तेरे मेरे प्यार का
साजना साजना साजना साजना
कैसी है ये …

हर तरफ़ एक तूफ़ान सा है कैसे साहिल मिलेगा
बेखुदी भी बचाएगी कब तक कब तलक दिल जलेगा
माना मुश्किल है आशिक़ी ये इश्क़ ही तो है ज़िंदगी
दिल कहता है …

दर्द-ए-दिल में कितना मज़ा है दीवाने दिल जानते हैं
दिल दीवाने होते हैं कहना नहीं मानते हैं
डूबे रहते हैं प्यार में खोए रहते हैं खुमार में
दिल कहता है …

kaisī hai ye dīvāngī kaisī hai ye dil kī lagī
dil kahtā hai yahīṅ ruk jāe pal tere mere pyār kā
sājnā sājnā sājnā sājnā
kaisī hai ye …

har taraf ek tūfān sā hai kaise sāhil milegā
bekhudī bhī bachāegī kab tak kab talak dil jalegā
mānā muśhkil hai āśhiqī ye iśhq hī to hai ziṅdgī
dil kahtā hai …

dard-e-dil meṅ kitnā mazā hai dīvāne dil jānte haiṅ
dil dīvāne hote haiṅ kahnā nahīṅ mānte haiṅ
ḍūbe rahte haiṅ pyār meṅ khoe rahte haiṅ khumār meṅ
dil kahtā hai …