Kaise ye rishte anjaane dil kee dharkan dil pahchaane

कैसे ये रिश्ते अनजाने दिल की धड़कन दिल पहचाने
Work
Year
Language

कैसे ये रिश्ते अनजाने
दिल की धड़कन दिल पहचाने लेकिन आँख न जाने
कैसे ये रिश्ते …

दूर किधर वो पास भी है वो सूनेपन की आस भी है वो
मैं हूँ उसमें वह है मुझमें फिर भी दोनों बेगाने
कैसे ये रिश्ते …

हर दर्पण में चेहरा उसका मेरी आँखें सपना उसका
हर मौसम में हर आलम में शामिल हैं उसके फ़साने
कैसे ये रिश्ते …

kaise ye riśhte anjāne
dil kī dhaṛkan dil pahchāne lekin āṇkh na jāne
kaise ye riśhte …

dūr kidhar vo pās bhī hai vo sūnepan kī ās bhī hai vo
maiṅ hūṇ usmeṅ vah hai mujhmeṅ phir bhī donoṅ begāne
kaise ye riśhte …

har darpaṇ meṅ chehrā uskā merī āṇkheṅ sapnā uskā
har mausam meṅ har ālam meṅ śhāmil haiṅ uske fasāne
kaise ye riśhte …