Kahtee hai mangnee kee angoothee

कहती है मंगनी की अँगूठी
Year
Language

ओ ओ ओ आ हो हो हो आ आ
कहती है मंगनी की अँगूठी प्रीत निभाना राजाजी
देर न करना घोड़ी चढ़के जल्दी आना राजाजी
हो हो कहती है मंगनी की अँगूठी सपने सजाना रानीजी
डोली लेके वो आएँगे मत घबराना रानीजी
आ आ

बन्नों है फूलों की डाली
बन्नों है नाज़ों की पाली
बन्नों का मुखड़ा क्‌या कहना
देख लजाए भोर की लाली
दूल्हा बनके केसरिया साफ़े में आना राजाजी
लाली लाली दुल्हनियाँ को संग ले जाना राजाजी
कहती है मंगनी की …

आएँगे सजनी के साजन
प्यार करेंगे ऐसे साजन
रकम ब्याज के साथ वसूलें
जैसे कोई बेदर्द महाजन
खुशी खुशी तुम कर्ज़ चुकाना मत शर्माना रानीजी
honeymoon के लिए चाँद की ticket कटाना रानीजी
कहती है मंगनी की …

o o o ā ho ho ho ā ā
kahtī hai maṅgnī kī aṇgūṭhī prīt nibhānā rājājī
der na karnā ghoṛī chaṛhke jaldī ānā rājājī
ho ho kahtī hai maṅgnī kī aṇgūṭhī sapne sajānā rānījī
ḍolī leke vo āeṇge mat ghabrānā rānījī
ā ā

bannoṅ hai phūloṅ kī ḍālī
bannoṅ hai nāzoṅ kī pālī
bannoṅ kā mukhaṛā k‌yā kahnā
dekh lajāe bhor kī lālī
dūlhā banke kesriyā sāfe meṅ ānā rājājī
lālī lālī dulhniyāṇ ko saṅg le jānā rājājī
kahtī hai maṅgnī kī …

āeṇge sajnī ke sājan
pyār kareṅge aise sājan
rakam byāj ke sāth vasūleṅ
jaise koī bedard mahājan
khuśhī khuśhī tum karz chukānā mat śharmānā rānījī
honeymoon ke lie chāṇd kī ticket kaṭānā rānījī
kahtī hai maṅgnī kī …