Kahtaa hai ye safar kahtee hai rahguzar

कहता है ये सफ़र कहती है रहगुज़र्
Work
Year
Language

कहता है ये सफ़र कहती है रहगुज़र
ज़माने भर के ग़म लिए उम्मीद दिल में कम लिए
तुम चले हो कहां
कहता है ये सफ़र …

देखूं जहां मिलता नहीं जज़्बात का निशान
हल्का सा भी निशान
बेगाने लोग हैं अनजाने लोग हैं
तमाम शहर में कहीं मिलेगा प्यार ही नहीं
तुम चले हो …

दुनिया में तुम कब से हो गुम किस राह से हो चले
आकाश के तले चलते रहे कम न हुए मंज़िल के फ़ासले
ऐसे हैं फ़ासले
राहों की ठोकर कहती है क्‌या करें
खुला कोई भी दर नहीं
किसी के दिल में घर नहीं
तुम चले हो …

kahtā hai ye safar kahtī hai rahguzar
zamāne bhar ke ġham lie ummīd dil meṅ kam lie
tum chale ho kahāṅ
kahtā hai ye safar …

dekhūṅ jahāṅ miltā nahīṅ jazbāt kā niśhān
halkā sā bhī niśhān
begāne log haiṅ anjāne log haiṅ
tamām śhahar meṅ kahīṅ milegā pyār hī nahīṅ
tum chale ho …

duniyā meṅ tum kab se ho gum kis rāh se ho chale
ākāśh ke tale chalte rahe kam na hue maṅzil ke fāsle
aise haiṅ fāsle
rāhoṅ kī ṭhokar kahtī hai k‌yā kareṅ
khulā koī bhī dar nahīṅ
kisī ke dil meṅ ghar nahīṅ
tum chale ho …