Kahtaa hai meraa ye dil piyaa koee hai koee hai hee naheen

कहता है मेरा ये दिल पिया कोई है कोई है ही नहीं
Work
Year
Language

कहता है मेरा ये दिल पिया कोई है कोई है ही नहीं

काया है तू छाया हूँ मैं तू न हो तो मैं भी नहीं

तू न हो तो मैं भी नहीं

चूड़ी जो खनके तो कहतें हैं खन-खन

घुँघरू जो छनके तो कहते हैं छन-छन

खन-खन हो य फिर छन-छन हो

मतलब इनका है जब तक हों दो

मैं भी हूँ तब तक जब तक तुम हो

जो सच है वो तुम मान ही लो

सुबह के पल या शाम के हों दिन तो सारा एक हि है

दो आँखों से देखें हम फिर भी नज़ारा एक ही है

दिल हैं दो लेकिन सनम प्यार की धारा एक ही है

कहता है मेरा ये दिल पिया कोई है कोई है ही नहीं
कोई है कोई है ही नहीं

सुनी कहानी है ये पुरानी हंसों का राजा हंसों की रानी

फिरते हैं एक संग हर पल ही

नैन में जब एक नीर भर आये जुड़वाँ आँख भी नीर बहाये

प्यार की हो मन में जल थल भी

कहने को दो जिस्म सही लेकिन बस इक जान हैं हम

कहने को हम दो सपनें हैं लेकिन इक अरमान हैं हम

इतना प्यार हुआ कैसे सोच के ख़ुद हैरान हैं हम

कहता है मेरा ये दिल पिया -2
कहता है मेरा ये दिल पिया कोई है कोई है ही नहीं
कोई है कोई है ही नहीं

काया है तू छाया हूँ मैं तू न हो तो मैं भी नहीं
तू न हो तो मैं भी नहीं

kahtā hai merā ye dil piyā koī hai koī hai hī nahīṅ

kāyā hai tū chhāyā hūṇ maiṅ tū na ho to maiṅ bhī nahīṅ

tū na ho to maiṅ bhī nahīṅ

chūṛī jo khanke to kahteṅ haiṅ khan-khan

ghuṇghrū jo chhanke to kahte haiṅ chhan-chhan

khan-khan ho ya phir chhan-chhan ho

matalab inkā hai jab tak hoṅ do

maiṅ bhī hūṇ tab tak jab tak tum ho

jo sach hai vo tum mān hī lo

subah ke pal yā śhām ke hoṅ din to sārā ek hi hai

do āṇkhoṅ se dekheṅ ham phir bhī nazārā ek hī hai

dil haiṅ do lekin sanam pyār kī dhārā ek hī hai

kahtā hai merā ye dil piyā koī hai koī hai hī nahīṅ
koī hai koī hai hī nahīṅ

sunī kahānī hai ye purānī haṅsoṅ kā rājā haṅsoṅ kī rānī

phirte haiṅ ek saṅg har pal hī

nain meṅ jab ek nīr bhar āye juṛvāṇ āṇkh bhī nīr bahāye

pyār kī ho man meṅ jal thal bhī

kahne ko do jism sahī lekin bas ik jān haiṅ ham

kahne ko ham do sapneṅ haiṅ lekin ik armān haiṅ ham

itnā pyār huā kaise soch ke khud hairān haiṅ ham

kahtā hai merā ye dil piyā -2
kahtā hai merā ye dil piyā koī hai koī hai hī nahīṅ
koī hai koī hai hī nahīṅ

kāyā hai tū chhāyā hūṇ maiṅ tū na ho to maiṅ bhī nahīṅ
tū na ho to maiṅ bhī nahīṅ