कहो तो ज़रा चूम लूं मचलती बहार में
कहो तो ज़रा चूम लूं मचलती बहार में
दिल कहता है जान-ए-जां हद से गुज़र जाऊं प्यार में
कहो तो ज़रा झूम लूं तुम्हारे इस खुमार में
दिल कहता है …
गेसुओं से रेशमी खुश्बू चुरा लूं
इन लबों से शबनमी लाली उड़ा लूं
छोड़ो शरम आए मैं क्या करूं
शरमाना क्या घबराना क्या
कुछ भी नहीं अब इख्तियार में
कहो तो ज़रा चूम …
देखती हैं हर घड़ी तुमको निगाहें
चाहती हैं बस तुम्हें गोरी ये बाहें
होके जुदा तुमसे जीना नहीं
इन पलकों में सपने लेकर
बैठी हूँ मैं इंतज़ार में
कहो तो ज़रा चूम …
kaho to zarā chūm lūṅ machaltī bahār meṅ
dil kahtā hai jān-e-jāṅ had se guzar jāūṅ pyār meṅ
kaho to zarā jhūm lūṅ tumhāre is khumār meṅ
dil kahtā hai …
gesuoṅ se reśhmī khuśhbū churā lūṅ
in laboṅ se śhabanmī lālī uṛā lūṅ
chhoṛo śharam āe maiṅ kyā karūṅ
śharmānā kyā ghabrānā kyā
kuchh bhī nahīṅ ab ikhtiyār meṅ
kaho to zarā chūm …
dekhtī haiṅ har ghaṛī tumko nigāheṅ
chāhtī haiṅ bas tumheṅ gorī ye bāheṅ
hoke judā tumse jīnā nahīṅ
in palkoṅ meṅ sapne lekar
baiṭhī hūṇ maiṅ iṅtazār meṅ
kaho to zarā chūm …