कहना इक दीवाना तेरी याद में आहें भरता है
कहना इक दीवाना तेरी याद में आहें भरता है
लिख कर तेरा नाम ज़मीं पर उस को सजदे करता है
शाख गिरेबाँ खाक़ बसर फिरता है सूनी राहों में
सायों को लिपटाता है और लैला लैला करता है
तेरी एक झलक की खातिर जान आँखों में अटकी है
जी का ऐसा हाल हुआ है जीता है न मरता है
ख़ुद को भूल गया है लेकिन तेरी याद नहीं भूला
दिल के जितने ज़ख़्म हैं उन में तेरा ही अक़्स उभरता है
लिख कर तेरा नाम ज़मीं पर …
कहना मेरे दीवाने से लैला तेरी अमानत है
तेरी बाहों में दम देगी तू जिस का दम भरता है
दिल के जितने ज़ख़्म हैं उन में तेरा ही अक़्स उभरता है
सदके जाऊँ इस क़ासिद पर जिस से ये पैग़ाम मिला
मेरा क़ातिल मेरा मसीहा अब भी मुझ पर मरता है
मेरा क़ातिल मेरा मसीहा मेरा मसीहा मेरा क़ातिल
मेरा क़ातिल मेरा मसीहा अब भी मुझ पर मरता है
लैलाऽ लैलाऽ लैलाऽ लैलाऽ
kahnā ik dīvānā terī yād meṅ āheṅ bhartā hai
likh kar terā nām zamīṅ par us ko sajde kartā hai
śhākh girebāṇ khāq basar phirtā hai sūnī rāhoṅ meṅ
sāyoṅ ko lipṭātā hai aur lailā lailā kartā hai
terī ek jhalak kī khātir jān āṇkhoṅ meṅ aṭkī hai
jī kā aisā hāl huā hai jītā hai na martā hai
khud ko bhūl gayā hai lekin terī yād nahīṅ bhūlā
dil ke jitne zakhm haiṅ un meṅ terā hī aqs ubhartā hai
likh kar terā nām zamīṅ par …
kahnā mere dīvāne se lailā terī amānat hai
terī bāhoṅ meṅ dam degī tū jis kā dam bhartā hai
dil ke jitne zakhm haiṅ un meṅ terā hī aqs ubhartā hai
sadke jāūṇ is qāsid par jis se ye paiġhām milā
merā qātil merā masīhā ab bhī mujh par martā hai
merā qātil merā masīhā merā masīhā merā qātil
merā qātil merā masīhā ab bhī mujh par martā hai
lailā' lailā' lailā' lailā'