कहीं एक मासूम नाज़ुक सी लड़की
कहीं एक मासूम नाज़ुक सी लड़की
बहुत खूबसूरत मगर सांवली सी
मुझे अपने ख़्वाबों की बाहों में पाकर
कभी नींद में मुस्कुराती तो होगी
उसी नींद में कसमसा-कसमसाकर
सरहने से तकिये गिराती तो होगी
वही ख़्वाब दिन के मुंडेरों पे आके
उसे मन ही मन में लुभाते तो होंगे
कई साज़ सीने की खामोशियों में
मेरी याद में झनझनाते तो होंगे
वो बेसाख्ता धीमे-धीमे सुरों में
मेरी धुन में कुछ गुनगुनाती तो होगी
चलो खत लिखें जी में आता तो होगा
मगर उंगलियां कँप-कँपाती तो होंगी
कलम हाथ से छूट जाता तो होगा
उमंगें कलम फिर उठाती तो होंगी
मेरा नाम अपनी किताबों पे लिखकर
वो दांतों में उँगली दबाती तो होगी
ज़ुबाँ से अगर उफ़ निकलती तो होगी
बदन धीमे धीमे सुलगता तो होगा
कहीं के कहीं पांव पड़ते तो होंगे
दुपट्टा ज़मीं पर लटकता तो होगा
कभी सुबह को शाम कहती तो होगी
कभी रात को दिन बताती तो होगी
kahīṅ ek māsūm nāzuk sī laṛkī
bahut khūbsūrat magar sāṅvlī sī
mujhe apne khvāboṅ kī bāhoṅ meṅ pākar
kabhī nīṅd meṅ muskurātī to hogī
usī nīṅd meṅ kasamsā-kasamsākar
sarahne se takiye girātī to hogī
vahī khvāb din ke muṅḍeroṅ pe āke
use man hī man meṅ lubhāte to hoṅge
kaī sāz sīne kī khāmośhiyoṅ meṅ
merī yād meṅ jhanajhnāte to hoṅge
vo besākhtā dhīme-dhīme suroṅ meṅ
merī dhun meṅ kuchh gungunātī to hogī
chalo khat likheṅ jī meṅ ātā to hogā
magar uṅgliyāṅ kṇp-kṇpātī to hoṅgī
kalam hāth se chhūṭ jātā to hogā
umaṅgeṅ kalam phir uṭhātī to hoṅgī
merā nām apnī kitāboṅ pe likhkar
vo dāṅtoṅ meṅ uṇglī dabātī to hogī
zubāṇ se agar uf nikaltī to hogī
badan dhīme dhīme sulagtā to hogā
kahīṅ ke kahīṅ pāṅv paṛte to hoṅge
dupaṭṭā zamīṅ par laṭaktā to hogā
kabhī subah ko śhām kahtī to hogī
kabhī rāt ko din batātī to hogī