Kaheen aisaa na ho tum ajanbee raahon men

कहीं ऐसा न हो तुम अजनबी राहों में
Work
Year
Language

कहीं ऐसा न हो तुम अजनबी राहों में खो जाओ
मेरे साथी मेरी आवाज़ के पीछे ( चले आओ ) -2

परेशां ज़िन्दगी को आस का साहिल नज़र आए
मुझे फिर प्यार की खोई हुई मंज़िल नज़र आए
हवाओं में ज़रा तुम रेशमी आँचल को लहराओ
मेरे साथी मेरी …

न जाने कितनी बार आया गया मौसम बहारों का
मगर अब तक नहीं बदला मुक़द्दर बेक़रारों का
सभी ग़म दूर हो जाएं जो तुम इक बार मिल जाओ
मेरे साथी मेरी …

kahīṅ aisā na ho tum ajanbī rāhoṅ meṅ kho jāo
mere sāthī merī āvāz ke pīchhe ( chale āo ) -2

pareśhāṅ zindgī ko ās kā sāhil nazar āe
mujhe phir pyār kī khoī huī maṅzil nazar āe
havāoṅ meṅ zarā tum reśhmī āṇchal ko lahrāo
mere sāthī merī …

na jāne kitnī bār āyā gayā mausam bahāroṅ kā
magar ab tak nahīṅ badlā muqaddar beqrāroṅ kā
sabhī ġham dūr ho jāeṅ jo tum ik bār mil jāo
mere sāthī merī …